sharab-KHana hai bazm-e-hasti
har ek hai mahw-e-aish-o-masti
maal-bini o mai-parasti
are ye zillat are ye pasti
shiar-e-rindana kar piye ja
agar koi tujh ko Tokta hai
sharab pine se rokta hai
samajh ise hosh mein nahin hai
KHirad ke aaghosh mein nahin hai
tu is se jhagDa na kar piye ja
KHayal-e-roz-e-hisab kaisa
sawab kaisa azab kaisa
bahisht o dozaKH ke ye fasane
KHuda ki baaten KHuda hi jaane
fuzul socha na kar piye ja
nahin jahan mein mudam rahna
to kis liye tishna-kaam rahna
uTha uTha han uTha subu ko
tamam duniya ki hao hu ko
ghariq-e-paimana kar piye ja
kisi se takrar kya zarurat
fuzul israr kya zarurat
koi piye to use pila de
agar na mane to muskura de
malal-e-asla na kar piye ja
tujhe samajhte hain ahl-e-duniya
KHarab KHasta zalil ruswa
nahin ayan un pe haal tera
koi nahin ham-KHayal tera
kisi ki parwa na kar piye ja
ye tujh par aawaze kasne wale
tamam hain mere dekhe bhaale
nahin mazaq un ko mai-kashi ka
ye KHun pite hain aadmi ka
tu un ka shikwa na kar piye ja
Nazm
Piye ja
Hafeez Jalandhari