bahut gum-sum bahut KHamosh hai
wo chand arse se
samajh mein kuchh nahin aata
ki aaKHir majra kya hai
wahi mausam wahi chahat
wahi rangat bhi phulon mein
magar ek us ki KHamoshi ne is pur-kaif mausam ko
hamare waste mausam KHizan ka bana Dala
parinde ab bhi baghon mein chahakte hain
ghaTaen ab bhi aati hain
hawaen ab bhi chalti hain
magar phir bhi masarrat dil ko kyun hasil nahin hoti
wajh ye hai
piya KHamosh hai mera
Nazm
Piya KHamosh hai mera
Ghausiya Khan Sabeen