suna suna sa hai kyun aaj jahan-e-urdu
uTh gaya kahte hain ek pir-e-mughan-e-urdu
jis ko DhunDenge sada tishna-laban-e-tahqiq
roenge barson jise dida-waran-e-urdu
rah-rau rah-guzar-o-rahbar-e-urdu-e-qadim
warna milta tha kise nam-o-nishan-e-urdu
chhin gai ahl-e-watan ek mata-e-tahqiq
ai dakan luT gai phir teri dukan-e-urdu
aaKHiri tir bhi tarkash ka hua rah-e-sipar
TuT kar rah gai lo aaj kaman-e-urdu
kaun hota hai harif-e-mai-e-mard-afgan-e-ilm
kis ke sar jaega ab bar-e-giran-e-urdu
Nazm
Pir-e-mughan-e-urdu
Masud Husain Khan