ek pipal ke niche main ne apni khaT bichhai
leT gaya main khaT pe lekin nind na mujh ko aai
aahen bharte karwaTen lete sari umr ganwai
pipal ke patton ko ginte karte un par ghaur
pipal ki shaKHon ko takte bit gaya ek daur
pipal ki har chiz purani albela har taur
chale hawa to Dali Dali lachak lachak bal khae
ruke hawa to sadhu ban kar dhyan ka dip jalae
jhakkaD ke har war pe Dole chiKH chiKH rah jae
pipal ki shaKHon par baiThe kuchh panchhi sustaen
bahar se kuchh aane wale ek kohram machaen
gaen git anokhe mil kar nachen aur nachaen
pipal kya hai jogi ka be-darsa ek asthan
jhonke patte panchhi insan sab is ke mehman
khaT pe lipTa soch raha hun main murakh nadan
Nazm
Pipal
Wazir Agha