اردو हिंदी
Pichhle janam ki kathaen | Shaahi Shayari
pichhle janam ki kathaen

Nazm

Pichhle janam ki kathaen

Khalilur Rahman Azmi

;

mujhe kuchh nahin gyan
ye zindagi kya hai?

ye maut kya hai?
main kitne dinon se yahi sochta hun

ki main kya hun? main kya nahin hun
mari umr jis tarah guzri hai

is ko bhi kyun ek umr kahiye
ye ek umr mein taqsim hai

aur har lamha ek dusre se juda hai
jab ek lamha marta hai

to dusra lamha taKHliq pata hai
pahlu mein aa kar mere baiTh jata hai

aur puchhta hai tum kaun ho?
main phir sochta hun

ki main kaun hun?
kyun ki main pichhle lamhe mein jo kuchh tha

wo ab nahin hun
to kya main har ek lamha phir se naya janm leta hun

har ek lamha ek umr hai?
to kya main har ek lamha

aisi kathaen sunata hun
jo pichhle janmon se mansub hain?