jin sar-afraazon ki ruhen aaj hain aflak par
maut KHud hairan thi jin ki jurat-e-be-bak par
naqsh jin ke nam hain ab tak dil-e-ghamnak par
rahmat-e-eizad ho daim in ki jaan-e-pak par
phul barsao shahidan-e-watan ki KHak par
phul barsao ki phulon mein hai KHushbu-e-wafa
thi sarisht-e-pak in ki aashiq-e-ju-e-wafa
maut par un ki gae jo ru-e-dar-ru-e-wafa
kyun na hon ahl-e-watan ke ashk-e-KHun ju-e-wafa
phul barsao shahidan-e-watan ki KHak par
the wo faKHr-e-adamiyat iftiKHar-e-zindagi
the wo insan turra-e-taj-e-waqar-e-zindagi
un ke dam se tha chaman ye KHar-zar-e-zindagi
tha nafas un ka nasim-e-KHusgawar-e-zindagi
phul barsao shahidan-e-watan ki KHak par
chashm-e-zahir-bin samajhti hai ki bas wo mar gae
dar-haqiqat maut ko fani wo sabit kar gae
jo watan ke waste kaTwa ke apne sar gae
KHun se apne rang taswir-e-wafa mein bhar gae
phul barsao shahidan-e-watan ki KHak par
dekh lena KHun-e-nahaq rang ek din laega
KHud-gharaz zalim kiye par apne KHud pachhtaega
rah par daur-e-zaman aaKHir kabhi to aaega
aasman is KHak ki taqdir ko chamkaega
phul barsao shahidan-e-watan ki KHak par
Nazm
Phul barsao shahidan-e-watan ki KHak par
Tilok Chand Mahroom