اردو हिंदी
Phul aur sitara | Shaahi Shayari
phul aur sitara

Nazm

Phul aur sitara

Shabbir Shahid

;

sitare
ab numu ki aag maddham hoti jati hai

hawa mein nikhaton ki tazgi kam hoti jati hai
chamakte baghiyon ki jhag maddham hoti jati hai

sitare
KHak mein roidagi kam hoti jati hai

magar wo phul to yakta tha
un sare gulabon mein

usi ka aks tha
mere lahu mein mere KHwabon mein

sitare
ruh mein us ka nishan

ab kyun nahin milta
sitare

mere pahlu mein wo gul ab kyun nahin khilta