اردو हिंदी
Phir wahi shab ke sarabon ka chalan! | Shaahi Shayari
phir wahi shab ke sarabon ka chalan!

Nazm

Phir wahi shab ke sarabon ka chalan!

Akhtar Ziai

;

phir wahi KHwab-numa
shab ke sarabon ka chalan jari hai

shab ki is bar safiran-e-chaman
aur bhi kuchh bhaari hai

gul pe shabnam pe anadil pe
saba aur hawa sab pe

wahi sehr-e-alam tari hai
phir usi tarz-e-kuhan

mein naya andaz-e-fusun-kari hai
saKHt mushkil mein hain

ai jaan-e-wafa arz-e-watan
harf-e-maqsud raqibon ko gawara bhi nahin

kya karen sabr ka yara bhi nahin
kaise tamir ki tazin ki phir baat karen

KHun-e-dil nazr-e-giran-bari-e-auqat karen
hum tahi-dast jo aahon mein asar mangte hain

sabz-o-shadab hasin KHuld-e-nazar mangte hain
apni majbur tamanna ka nagar mangte hain

ek be-dagh sahar mangte hain!!