aangan mein ek shajar hai
dalan mein hawaen
kamre mein ek laDki
ujli udas laDki
water-color se dil pe patte bana rahi hai
itne mein peD aaya
kamre mein peD aaya
patte gira ke bola bahar hawa bahut hai
laDki thi pahle ujli ab pili ho gai hai
phir chand pal bite daKHil hui hawaen
patte uDa ke bolin andar hawa bahut hai
laDki thi pahle pili ab lal ho gai hai
wo lal lal laDki ab be-qarar ho ke
water-color ka Dabba dil mein kahin chhupae
aanchal mein kuchh hawaen daman mein chand patte
dalan se guzar ke aangan ko par kar ke
maidan-e-nauha-KHwan mein aa ke ThiThak gai hai
maidan-e-nauha-KHwan mein ek canwas rakha hai
is canwas ke dil pe water-color mein bhiga
phagun ka har hara hai kab se wo jal raha hai!
Nazm
Phagun
Salahuddin Parvez