kamre ki silan se ukta kar
kahin chali gai hai
mere hisse ki dhup
bandhan se Darne wali chiDiya
uD rahi hai khokhle aakash mein
aur main
main to istiqbaal bhi nahin kar sakta
kisi nai aahaT ka
kyunki Dar gaya hun main
aate hue qadmon ki
lauTti hui bazgasht se
meri aankhon mein jam gai hai
udas lu bhari dopahar
himala ki choTi par jamne wali barf ki taraf
main bhul chuka hun
amaltas ke phul se apna pahla mukalima
kamre ke kis darwaze se
khiDki se ya rauzan se
daKHil hui thi suraj ki pahli kiran
mujhe kuchh yaad nahin
ek behad masruf lamhe ke liye
sambhaal rakkha tha main ne
bahut sara KHali waqt
apni aankhon mein
apne honTon par
apni banhon ke TuTte hue ghere mein
be-hangam KHwabon ke bikharte daere mein
kisi basanti jism ke pahle tyauhaar mein
adhura chhoD aaya main apna raqs
mere ishq se kahin ziyaada lambi thi
mere prem patr ki bhumika
Nazm
Pesh lafz ek mohabbat name ka
Nomaan Shauque