hansi khokhli si hansi
aur pothi pe ek hath rakh kar
mujhe ghur kar
gungunaya
yahan se wahan tak
mujhe ek bhi sabz patta dikhai nahin de raha
ek bhi bansuri ki madhur tan
pani ki gagar ke niche chhalakti hui wahshi hirni si aankhen
koi ek chamkila aansu bhi baqi nahin hai
dhuan rakh aur KHun
dharti ki ujDi hui kokh mein chand jhulsi hui haDDiyan
adh jale prem-pattron ke Dhanche
daraKHton ki lashen
makanon ki uDti hui dhajjiyan
sone raston pe phirti hui khokhli si hawa ke siwa
aur kuchh bhi mujhe yan dikhai nahin de raha
baDi der tak main ne buDhe nujumi ki baaten sunin
aur aabaad rahon pe KHush-posh joDon ko aansu ki chilman se dekha kiya
phir achanak
na-jaane kahan ek bigul sa baja
aur na jaane wo kaise nikal kar mere samne aa gaya
ek bhinga muDe naKHunon wala ifrit
jo pahle din se
meri aankh mein chhup ke baiTha hua tha
mere KHun par pal raha tha
Nazm
Pesh-goi
Wazir Agha