phir tasawwur kha riha hai pech-o-tab
phir wahi haijaan-o-harkat karb-o-dard-o-isztirab
phir wahi dhundle nuqush-e-mah-o-sal
phir wahi subh-e-bahaaran phir wahi sham-e-visal
phir wahi bite hue lamhon ki yaad
phir wahi maujen wahi kashti wahi baad-e-murad
phir wahi raqs-e-sharar-e-zindagi
phir wahi husn-e-latafat-rez ki tabindagi
phir wahi wadon pe lutf-e-intizar
phir wahi chashm-e-suKHan-go ke ishaare bar bar
phir wahi dard-e-musalsal ki kasak
phir wahi mauj-e-tabassum-ha-e-pinhan ki jhanak
phir wahi aish-o-tarab ka ehtimam
phir wahi bazm-e-tamanna phir wahi saqi-o-jam
phir wahi aaghaz-e-ulfat ka surur
phir wahi yaadon ke sae zehn mein nazdik-o-dur
phir wahi shorish wahi josh-o-KHarosh
phir kahin diwangi tari na ho ai dil KHamosh
Nazm
Pech-o-tab
Amjad Najmi