dil baDha us ki pazirai ko
hathon mein uThae
sabz jugnu
nuqrai gul
surKH naranji sunahri kanpti lau ka charagh
aisi gul-ru thi ki jab aati nazar ke samne
sari samton mein mahak uThte the bagh
aisi mah-ruKH thi andhere mein bhi
jab dil ke qarib aata kabhi us ka KHayal
is ada se sar pe rakkhe
chand-taron se bhara pura falak
jaise ho ek chhoTa sa thaal
aisi dilbar thi ki jab rakh deti
dil ke dil pe hath
bhul jata zindagi ke ranj
ghairon ke diye sab zaKHm
apnon se suni har talKH baat
aur gai to le gai
har ek KHushi har raushni ko apne sath
zindagi kya jagmagati
bujh gai jab kaenat
kis tarah zinda raha dil
aadatan dhaDka kya dil
raste mein
bas isi ke raste mein
umr-bhar Thahra raha dil
aur zahe qismat chali aati hai phir se
apne chehre par sajae
ek nadamat
muskurahaT mein KHajalat
aankh mein lekin wahi pahli qayamat
khul uTha hai dil
baDha hai sar pe rakkhe
jhilmilati aarzuon aur ummidon ka taj
dil baDha
pahli mohabbat
aur nae gham ki pazirai ko aaj

Nazm
Pazirai
Sameena Raja