fazaon mein koi nadida malum rasta hai
jahan jazbaat muztar ruh ke simab-pa qasid
saubaat-e-safar se be-KHabar ek dur manzil ko
paron mein ulfaton ke raaz ko le kar
hawaon ki tarah aazad be-parwa uDe jaen
payam-e-shauq de aaen
agar is raat us be-rah raste par
koi jazba dil-e-betab se uTh kar
inan-bardashta nikle
ishaare garm josh-e-arzu aaenge esir par
unhen paDhna
agar manzur-e-KHatir ho
jawaban ek jazbe ko sawar-e-barq kar dena
Nazm
Payam
Tasadduq Husain Khalid