mutrib-e-KHush-nawa zindagi ke hasin git gata raha
us ki aawaz par anjuman jhum uTThi
us ne jab zaKHm-e-dil ko zaban baKHsh di
sunne walon ne be-saKHta aah ki
ishq ke saz par jab hua zaKHma-zan
shor-e-tahsin mein KHud us ki aawaz dab si gai
mutrib-e-KHush-nawa phir bhi tanha raha
tishnagi-e-masham us ko baad-e-saba ki tarah gul-ba-gul le gai
kasa-e-chashm ne partaw-e-gul bhi paya nahin
dard us ka kisi mahram-e-dard ke waste
dar-ba-dar shahr-dar-shahr phirta raha
dad o tahsin ke hangama-e-zauq-kash mein use
har taraf se malamat ke patthar mile
mutrib-e-KHush-nawa pattharon se paTakta raha apna sar
pattharon ko zaban to mili par takallum nahin
pattharon ko KHad-o-KHal-e-insan mile daulat-e-dard-o-gham kab mili
pattharon ko hasin suraten to milin dil nahin mil saka
pattharon ko mile panw par e'timad-e-safar kaun de
pattharon ko mile hath par azm-e-tesha-zani kaun de
sang sunte hain lekin samajhte nahin
dekhte hain magar farq karte nahin
baat karte hain mahsus karte nahin
TuT sakte hain lekin pighalte nahin
gard ban kar ye uD jaen sanchon mein Dhalte nahin
mutrib-e-KHush-nawa pattharon se paTakta raha apna sar
mutrib-e-KHush-nawa pattharon ko sunata raha dard-e-dil
apna gham un ka gham sab ka gham
pattharon ne suna aur chup-chap hanste rahe
pattharon ki isi anjuman ka mughanni hun main
aur bedard be-his sitamgar patthar sunenge kabhi
un ka wo mutrib-e-KHush-nawa shikwa-sanj-e-zaman
apne naghmat ki aag mein jal gaya
phir un hi ke manind patthar ka but ban gaya
Nazm
Pattharon ka mughanni
Waheed Akhtar