isi akele pahaD par tu mujhe mila tha
yahi bulandi hai wasl tera
yahi hai patthar meri wafa ka
ujaD chaTyal udas viran
magar main sadiyon se, is se lipTi hui khaDi hun
phaTi hui oDhni mein sansen teri sameTe
hawa ke wahshi bahao par uD raha hai daman
sambhaala leti hun pattharon ko gale laga kar
nukile patthar
jo waqt ke sath mere sine mein itne gahre utar gae hain
ki mere jite lahu se sab aas pas rangin ho gaya hai
magar main sadiyon se is se lipTi hui khaDi hun
aur ek unchi uDan wale parind ke hath
tujh ko paigham bhejti hun
tu aa ke dekhe
to kitna KHush ho
ki sang-reze tamam yaqut ban gae hain
damak rahe hain
gulab patthar se ug raha hai
Nazm
Patthar ki zaban
Fahmida Riaz