main zaKHmi zaKHmi lahu lahu
har jangal har aabaadi mein
kanTon ke nukile raston par
phulon ki ru-pahli wadi mein
har shahr mein har virane mein
koi to KHaridar aaega
maqtal ki sunahri chaukhaT tak
bismil ka taraf-dar aaega
ek aas liye ummid liye
daman mein mah-o-KHurshid liye
pathraw ki chaumukh barkha mein
KHwabon ko bachata phirta hun
be-rahm haqiqat milti hai
main aankh churaata phirta hun
*
aksar ye tamanna jagi hai
goya main chahakta baalak hun
titli ke rangin pankhon par
lalchae hue ban ban ghumun
har kunj mein KHushbu pi pi kar
ganjar mein bhaunron ki jhumun
har bhure bhae har sanjh bhae
chahkar mein chiDiyon ki dolun
fitrat sa saKHi to koi nahin
nazron sa dhani to koi nahin
ye peD ye parbat ye sagar
dharti pe khilaune rakhe hain
ye dariya parten chandi ki
amrit ke done rakkhe hain
main amrit pine rukta hun
dariya ke taT par chhain
phunkarti hai Das jati hai
KHwabon se mujhe chaunkati hai
aksar ye guman hota hai mujhe
main ek chamakta jugnun hun
shabnam ki nannhi bundon ko
phulon ka ghar dikhlata hun
main shab ke andhere sine mein
neki ki kiran ban jata hun
jab pau ki raushni aati hai
phunkarti hai Das jati hai
KHwabon se mujhe chaunkati hai
*
aksar ye guman hota hai mujhe
but-saz hun main har patthar se
derina-shanasai hai meri
chalata hai koi andar se
har sankh mein ek but-KHana hai
jis shai ko patthar kahte hain
wo surat ka baiana hai
har sang se phir but Dhalte hain
har but ko zaban mil jati hai
main pahron un ki sunta hun
KHush hota hun sar dhunta hun
duniya ko magar fursat hi kahan
aawaz meri ghaT jati hai
KHwabon se mujhe chaunkati hai
*
danaon ki is nagri mein
ye bahki bahki kaun sune
sar chiKH ki phansi par ho jahan
sar KHamoshi par kaun dhune
main kisi basti ka basi hun
kya kahta hun kya sunta hun
in giton ke khaliyanon se
kyun moti moti chinta hun
pathraw ki chaumukh barkha mein
har moti TuTta jata hai
KHwabon se mujhe chaunkata hai
Nazm
Pathraw ki chaumukh barkha mein
Shaz Tamkanat