tere nikhre hue jalwon ne di thi raushni mujh ko
tere rangin ishaaron ne mujhe jina sikhaya tha
qasam khai thi tu ne zindagi bhar sath dene ki
baDe hi naz se tu ne mujhe apna banaya tha
magar pachhta raha hun ab teri be-e'tinai par
ki main ne kyun mohabbat ka sunahra zaKHm khaya tha
tera paikar teri banhen teri aankhen teri palken
tere aariz teri zulfen tere shane kisi ke hain
mera kuchh bhi nahin is zindagi ke baada-KHane mein
ye KHum ye jam ye shishe ye paimane kisi ke hain
banaya tha jinhen rangin apne KHun se main ne
wo afsane nahin mere wo afsane kisi ke hain
kisi ne sone chandi se tere dil ko KHarida hai
kisi ne tere dil ki dhaDkanon ke git gae hain
kisi zalim ne luTa hai tere jalwon ki jannat ko
magar main ne teri yaadon se virane sajae hain
kabhi jin par mohabbat ka muqaddar naz karta tha
wo yaaden bhi nahin apni wo sapne bhi parae hain
kise malum tha manzil hi mujh se ruTh jaegi
laraz kar TuT jaenge meri qismat ke sayyare
sar-e-bazar bik jaegi tere pyar ki azmat
chalenge ishq ke hassas dil par zulm ke aare
baDe arman se main ne chuna tha jin ko daman mein
kise malum tha wo phul ban jaenge angare
jahan tu hai wahan hain nuqrai sazon ki jhankaren
jahan main hun wahan chiKHen hain fariyaaden hain nale hain
meri duniya mein gham hi gham hain tariki hi tariki
teri duniya mein naghme hain bahaaren hain ujale hain
meri jholi mein kankar hain teri aaghosh mein hire
tere pairon mein pael hai mere pairon mein chhaale hain
main jab bhi ghaur karta hun teri is bewafai par
to gham ki aag mein mehr-o-wafa ke phul jalte hain
na fariyaadon se zanjiron ki kaDiyan TuT sakti hain
na ashkon se nizam-e-waqt ke tewar badalte hain
main bhar sakta hun teri yaad mein hasrat bhari aahen
magar aahon ki garmi se kahin patthar pighalte hain
Nazm
Pathar
Prem Warbartani