اردو हिंदी
Paspai | Shaahi Shayari
paspai

Nazm

Paspai

Zaheer Siddiqui

;

mujh ko bhi ghussa aata hai
jab koi cycle wala

agle pahiye se
kichaD ki ek chhap meri patlun pe de deta hai

jab koi motor wala
mere munh par

muD ke ke gaDDhon ke gande pani ke chhinTe de deta hai
jab koi khule hue chhate ki kamai se sar mein Thoka deta hai

jab footpath pe
mere muqabil chalne wala

unche mahlon ke takte takte mujh ko dhakka deta hai
mujh ko bhi ghussa aata hai

lekin main to
sukhe bazu

ubhri pasli
pichke gal aur KHali jeben

dekh ke apni
chup rahta hun

aur mere upar wale nokile dant bichhar jate hain
honTon se bahar aate hain

nichle honT se pahunch jate hain
mera sara ghussa nichle honT ke KHun mein tharraata hai