kyun jagate ho mere sine mein ummidon ko
rahne do itna na ehsan karo
main to pardesi hun aur aai hun do din ke liye
kal chali jaungi ya parson chali jaungi
aur phir aane ka imkan nahin
roz yun ghar se nikalna bhi to aasan nahin
kyun jagate ho mere sine mein ummidon ko
kyun jalate ho mere dil ke charagh
main ne ye sare diye KHud hi bujha Dale hain
aap is basti ko tarik bana rakkha hai
jis tarah jang ki raaton ko baDe shahron mein
batiyan KHud hi bujha dete hain
zindagi ke sabhi aasar miTa dete hain
is tarah
main ne ye sare diye KHud hi bujha Dale hain
aap is basti ko tarik bana rakkha hai
is pe har raat nae hamle hua karte the
aasmanon se kai dushman-e-jaan tayyare
inhin shamon ka nishana rakh kar
bam gira jate the aur aag laga jate the
is ko tarik hi tum rahne do
dil ki duniya mein ujala na karo
meri ummidon ko madhosh paDa rahne do
tum nahin manoge?
tum dekhte hi jaoge?
achchha dekho!
lo jalao mere sine ke charagh
dil ki basti mein charaghan kar do
phir mere jine ka ya marne ka saman kar do
Nazm
Paspai
Sharif kunjahi