pas-e-taqrib-e-mulaqat yahan sham Dhale
der tak phaili rahegi teri shirkat ki mahak
mutarannim se rahenge ye hawa ke goshe
jin mein ghaltida hai ab lahn-e-takallum tera
raat bhar phaili rahegi ye tassur ki shafaq
jazb hai jis mein dil-awez tabassum tera
yaad rah jaegi is sehn ko ye sham-e-fusun
jal gai thin kai an-dekhi suhani shamen
lau sa de uTTha tha mahaul tere aane ka
chha gaya tha dar-o-diwar pe wo partaw-e-rang
jaise maKHuz hon lamhe kisi afsane se
chhoD jaega wahi narm kasak phir dil mein
jis se shadab hai muddat se mera zauq-e-talab
aaj taqrib mein ye tarz-e-mulaqat tera
be-niyazana taKHatub mein pareshan sa tere
gosha-e-lab pe koi harf shanasai ka
tamkanat wali adaon mein anokha sa niyaz
mujtanib aankhon mein ek aks pazirai ka
aam mauzu-e-suKHan mein bhi ayan lahja-e-KHas
zehn ki baat mein bhi dil ki dhamak ka ehsas
ek tahum sa kisi ghamza-e-ghaltida mein
ek manus sa KHam kakul-e-paichida mein
tujh se ye rabt ki mauhum bhi mafhum bhi hai
tu ki hai mujh se teri zist ka har rang juda
sharh-e-haalat alag umr ka aahang siwa
pahle hi rah mein hael hai KHalij-e-aqdar
tu ne tabinda bhi rakkha hai tera KHatt-e-hisar
phir bhi ek qurb ki KHushbu hai faza mein bedar
ye rah-o-rasm jo izhaar-e-mohabbat bhi nahin
hai tere dam se ye rahat ki jo rahat bhi nahin
gham-e-be-nam tere nam se mausum bhi hai
husn se rabta-e-ishq ke mazmun hain bahut
is latafat-kada-e-kaif mein afsun hain bahut
na tere jism ka sandal na tere lab ke gulab
na teri zulf ki shabnam hai is ehsas ka nam
yun to is sham ka paikar bhi hai tera ye jamal
is shanasai ka unwan hai faqat nikhat-e-sham
chashm-e-hamdam ki ata-karda ye aasaish-e-did
mehrban husn ka baKHsha hua ye izn-e-kalam
aaj phir jagti rah jaegi har baam tale
wahi shadab si hasrat wahi aasuda kasak
der tak phaili rahegi teri shirkat ki mahak
pas-e-taqrib-e-mulaqat yahan sham Dhale
Nazm
Pas-e-taqrib-e-mulaqat
Abdul Ahad Saaz