bahut din hue
ek talab ke pas main ne parindon ko dekha
falak par bhaTakte hue chand baadal the
aur subh ki dhup mein halki halki si ThanDak
wahan gahre talab ke pas unche daraKHton ki is oT mein
dhup ki ThanDi ThanDi si kirnon se lipTe hue sabz patte
daraKHton se talab mein gir rahe the
wahin main ne dekha ki duniya ke sare parinde
na jaane kahan se zamanon ke phaile hue faslon se
ubharte hain talab ke pas aa kar utarte hain aur bolte hain
wahin main ne un sab parindon ko unche daraKHton pe nili fazaon mein talab ke paniyon par kinaron pe har samt dekha
wo uDte hue hans gati hui bulbulen mor sadiyon ke qasid kabutar
wo aise parinde bhi jo apne namon ko bas aap hi jaante hain
wo nadir sadaen ki jaise wo sadiyon ke asrar ko kholti hun
wo chahkar jaise wo an-dekhi duniyaon se aa rahi ho
parindon ki boli ke asrar ko sikhte din kaTa raat guzri
bahaaren KHizaen palaT kar kai bar aain
bahut din hue main ne jab un parindon ko dekha
aur ab un ki ghaibi sadaon ke asrar ko chaar-su dekhta hun
mujhe ilm hai har sada dur se aane wali sada hai
har ek shai mein koi ishaarat nihan hai
Nazm
Parindon ki boli
Suhail Ahmad Khan