parinda aasman ki nilgun mehrab ke us par jata hai
parinda baal-o-par hai aankh hai lekin
sunahri chonch se parwaz karta hai
saDak par dhup hai aur dhup mein sayon ke naKHun hain
gharon mein KHol hain aur aanganon mein KHar ugte hain
kisi ka kaun hai koi nahin sab ajnabi hain hairat-o-hasrat mein zinda hain
wo aurat hai
wo KHwahish ke lapakte KHanjaron se pyar karti hai
wo us ka ham-safar hai KHak-o-KHun us ka muqaddar hai
ye mauj-e-ab hai ab phul hai ab peD hai kal sirf patta hai
agar ye zindagi karne ki koshish mein pareshan hain
ye aksar qatl karte hain
ye aksar qatl hote hain
lahu ke par gulshan hai magar gulshan lahu mein hai
nigahon mein ujaDte shahar ki manind taswiron ka mela hai
hujum-e-sang-o-ahan mein
koi aawaz deta hai koi aawaz sunta hai
magar aawaz se aawaz ka rishta nahin hota
magar aawaz se aawaz ka har har silsila be-kar hota hai
ye manzar tairta hai aab-e-ju mein hae lekin ajnabi kyun hai
main manzar hun tasalsul hun
magar main ajnabi kyun hun
ye farsh-e-ab-o-gil mere liye ek silsila kyun hai
parinda aasman ki nilgun mehrab ke us par chahta hun
parinda fasla kyun hai
parinda mawara kyun hai
Nazm
Parinda
Balraj Komal