raat ne jab ghaDiyon se waqt uTha liya
ghanTi ki tez aawaz ne sare pardon ka rang uDa diya
kamre mein chaar aadamiyon ne apni apni sansen lin
sansen muKHtalif rangon mein thin
ek aadmi purane calender par nishan laga raha tha
dusra naya calender hath mein maroD raha tha
tisare ka chehra chauthe aadmi ke chehre par lag gaya tha
aadmi tin the
ye tin samten chaukor kamre ke KHali kone ko
dekh rahi thin
inhi tin samton ko kal sara shahr banna tha
wo tinon
kamre ke tinon konon mein ja kar khaDe ho gae
aur sochne lage
kis ka kona hai jo KHali rah gaya hai
achanak parda hila
aur ek parinda
is kone mein aa kar baiTh gaya
tinon ke munh se nikla
masum
unhen pata chala ki wo tinon waqt ki qaid mein the
tinon ne aag jalai
aur bole
aag jalne tak ye samten hamari rahengi
aag chauthe kone mein lagai gai thi
zindagi ke ruKH baDhte ja rahe the
suraj ne chaar kirnen kamre ke andar phenkin
unhon ne panch panch gaz ka sunahri-pan apne gird lapeTa
suraj ki tin banhen TuT gain
unhon ne apni ek ek ungli kaTi
aur bole
ham ne apni ungliyon se zindagi ka sukut toDa
parinda kamre mein rah gaya
Nazm
Parinda kamre mein rah gaya
Sara Shagufta