main to jaise khaDa hua hun ek manzil par
aur lamhe ye waqt ke TukDe
yun uDte hain chaaron taraf ek titli jaise
jis ke pankh kabhi to sunahre
aur kabhi lagte hain siyah
yun hi be-mani be-mauqa
nachne lagti hai duniya dil git sunata hai
banjar dharti se uble paDte hain nur ke chashme
aur achanak
baadal ki chadar suraj ke munh ko Dhak deti hai
maddham paDne lagta hai sangit ka jadu
nur ka dam ghuTne lagta hai
aur lamhe ye waqt ke TukDe
yun uDte hain chaaron taraf ek titli jaise
jis ke pankh kabhi to sunahre
aur kabhi lagte hain siyah
Nazm
Parikrama tawaf
Ashok Lal