hamari duri ke mausamon ko
ai jaan-e-jaanan nisab rakhna
main tum se milne ko aaunga jab
waraq waraq tum kitab rakhna
sabhi shikayat yaad kar ke
sazaon ka bhi hisab rakhna
KHalish hai jo bhi tumhaare dil mein
mere liye intisab rakhna
sawal jitne hon dil mein chubhte
unhen faraghat se puchh lena
meri mohabbat ka pas karna
mujhe mukammal jawab rakhna
uThana parde haqiqaton se
faqat na mahw-e-sarab rakhna
bichhaD ke tum se milan ki lazzat
thakan hamari sameT lena
firaq mein phir jo den sahaara
hamare hissa ye KHwab rakhna
na dur jaana na hijr dena
na mujh ko gharq-e-azab rakhna
hamare lafzon pe ghaur karna
bichhaD ke tum se na chain paya
KHamoshiyon ko na rah dena
na dil ko KHana-KHarab rakhna
rafaqaton ke bhanwar mein mujh ko
Dubo Dubo ke ubhaar dena
har ek lamha nawaz dena
na mujh se koi hijab rakhna
tumhaari furqat ke karb kaTe
main qatra qatra bikhar raha hun
tum apni chahat ko meri KHatir
ba-surat-e-injezab rakhna
jhulas chuke hain tamam jazbe
unhen mohabbat se sinch dena
zara si saKHti zara si narmi
misal-e-ab-o-turab rakhna
tumhaare jazbaat ki sadaqat
wajud par abr ban ke barse
nikhar sake zindagi ka mausam
mere liye ye sawab rakhna
Nazm
Pardesi ka KHat
Asra Rizvi