zarron ke dahakte aiwan mein
do shoala-ba-jaan larzan sae
masruf-e-naza-e-baham hain
uD uD ke ghubar-e-rah-e-adam
aiwan ke band darichon se
Takra ke bikharte jate hain
kohre mein panapti samton se
nazad hawaon ke jhonke
nadida aahani pardon par
rah rah ke jhapaTte rahte hain
ek pal do pul ki baat nahin
zarron ke mahal ki baat nahin
har resha-e-gul har sang-e-giran
har mauj-e-rawan ke sine mein
ye bint-e-azal aur bint-e-abad ki
shoala-ba-jaan parchhaiyan yun hi
sar-garm-e-paikar na jaane kab se hain
aur hum hain ki salik-e-rah-e-baqa
hathon mein liye fanus-e-fana
zarron se gurezan
suraj ki nayab shuaon ke arman
sinon mein chhupae jate hain
KHud ko bahlae jate hain
Nazm
Parchhaiyan
Aziz Tamannai