اردو हिंदी
PanwaDi | Shaahi Shayari
panwaDi

Nazm

PanwaDi

Majeed Amjad

;

buDha panwaDi us ke baalon mein mang hai nyari
aankhon mein jiwan ki bujhti agni ki chingari

nam ki ek haTTi ke andar bosida almari
aage pital ke taKHte par us ki duniya sari

pan kattha cigarette tambaku chuna laung supari
umr us buDhe panwaDi ki pan lagate guzri

chuna gholte chhaaliyan kaTte kath pighlate guzri
cigarette ki KHali Dibiyon ke mahal sajate guzri

kitne sharabi mushtriyon se nain milate guzri
chand kasili patton ki gutthi suljhate guzri

kaun is gutthi ko suljhae duniya ek paheli
do din ek phaTi chadar mein dukh ki aandhi jheli

do kaDwi sansen lin do chilmon ki rakh unDeli
aur phir is ke baad na puchho khel jo honi kheli

panwaDi ki arthi uTThi baba allah beli
subh bhajan ki tan manohar jhanan jhanan lahrae

ek chita ki rakh hawa ke jhonkon mein kho jae
sham ko us ka kam-sin baala baiTha pan lagae

jhan jhan Than Than chune wali kaTori bajti jae
ek patinga dipak par jal jae dusra aae