aai wo panghaT ki dewi, wo panghaT ki rani
duniya hai matwali jis ki aur fitrat diwani
mathe par sinduri Tika rangin o nurani
suraj hai aakash mein jis ki zau se pani-pani
chham-chham us ke bachhwe bolen jaise gae pani
aai wo panghaT ki dewi wo panghaT ki rani
kanon mein bele ke jhumke aankhen mai ke kaTore
gore ruKH par til hain ya hain phagun ke do bhanwre
komal komal us ki kalai jaise kamal ke DanThal
nur-e-sahar masti mein uThae jis ka bhiga aanchal
fitrat ke mai-KHane ki wo chalti-phirti botal
aai wo panghaT ki dewi wo panghaT ki rani
rag-rag jis ki hai ek baja aur nas-nas zanjir
krishn murari ki bansi hai ya arjun ka tir
sar se pa tak shoKHi ki wo ek rangin taswir
panghaT bekul jis ki KHatir chanchal jamuna nir
jis ka rasta Tik-Tik dekhe suraj sa rahgir
aai panghaT ki dewi wo panghaT ki rani
sar par ek pital ki gagar zohra ko sharmae
shauq-e-pa-bosi mein jis se pani chhalka jae
prem ka sagar bunden ban kar jhuma umDa aae
sar se barse aur sine ke darpan ko chamkae
us darpan ko jis se jawani jhanke aur sharmae
aai panghaT ki dewi wo panghaT ki rani
Nazm
PanghaT ki rani
Saghar Nizami