ai laila-e-jamhuriyat
ai dilbar-e-hindostan
tujh se farogh-e-shama-e-shab
mahfil mein lau ki ibtida
ahl-e-wafa ke des mein
tariKH-e-nau ki ibtida
zulmat-bad-aman KHak par
suraj ki zau ki ibtida
har lab pe teri dastan
zulfen teri ambar-fashan
ai dilbar-e-hindostan
tu apne dast-e-naz mein
ek KHushnuma parcham liye
apne jilau mein nau-ba-nau
KHushiyon ka ek aalam liye
manzil ke rahi ke liye
ek rau liye ek rum liye
hansti hui gati hui
aawaz si deti hui
sangit ki har tan mein
dars-e-amal deti hui
ban kar umangon ka nishan
aai hamare darmiyan
ai dilbar-e-hindostan
ab jagmagati rah hai
aur rahrawon ke qafile
ab tez hain sab ke qadam
ab miT rahe hain fasle
ab zindagi hai wajd mein
ab jagte hain walwale
thak kar koi sota nahin
ab peD ke sae tale
naghmat-e-azadi ki dhun
kitni junun-angez hai
ab nashsha-e-mai hai siwa
ab saz ki lai tez hai
ab ruh ko hasil yahan
sad ishrat-e-parwez hai
masrur hain pir-o-jawan
ai dilbar-e-hindostan
teri had-e-shadab mein
gang-o-jaman aabaad hain
kohsar ke hain silsile
dasht-o-daman aabaad hain
ahl-e-yaqin aabaad hain
arbab-e-fan aabaad hain
mahtab aur tare liye
nile gagan aabaad hain
jannat-nishan kashmir ke
rangin chaman aabaad hain
jo hain hamari aabru
hain jamn ke hum sab pasban
ai dilbar-e-hindostan
aa hum tere aanchal tale
parcham tera uncha karen
teri hifazat ke liye
saif o qalam yakja karen
tujh ko banaen kaamran
ai dilbar-e-hindostan
mafhum-e-azadi hai kya
nur-e-sahar ki justuju
kya hai mata-e-hurriyat
insan ke dil ki aarzu
sad-afrin bar-daur-e-mai
aazad hain jam-o-subu
aazad hai pael ki dhun
aazad hai zulfon ki bu
aazad hai soz-e-jigar
aazad hai dil ka lahu
aazad hai zauq-e-safar
aazad hai jine ki KHu
jae na kyun dil ki lagan
mahfil-ba-mahfil ku-ba-ku
sad marhaba puri hui
wo hasrat-e-kaif-e-numu
jis ke sabab barbaad tha
sadiyon se apna karwan
ai dilbar-e-hindostan
tu zulmaton ke sail mein
sham-e-farozan ban gai
shab-tab ufuq par hind ke
nur-e-daraKHshan ban gai
wadi-e-nikhat-bez mein
ju-e-KHiraman ban gai
KHushbu se jis ki chaar su
wo zulf-e-jaanan ban gai
dil ka sukun aaram-e-jaan
ai dilbar-e-hindostan
Nazm
Pandrah-august
Owais Ahmad Dauran