faza mein muallaq
ye shaKHen hain
ya jaDen hain
us buDhe bargad ki
jis pe zamin tang ho gai hai
hamari tarah
jis ko waqt ne be-waqt kiya hai
zamin ek had tak panah-gah hoti hai
aasman ki panah ki had koi nahin
ye shaKHen jo dusra rup hain jaDon ka
zamin se palaT kar aasman ki kheti mein ugne ko be-tab hain
aasman aur zamin ke darmiyan
bandon ke azhdaham mein
kaun hai?
jo bargad ki aaghosh wa kiye
meri rah dekhta hai
Nazm
Panah
Mahmooda Gaziya