bas
pal-do-pal ki baat hai
be-sabab pareshan hote ho
tumhein kis baat ka gham hai
kyun udas rahte ho
dekho
in nazaron ko
mast aabshaaron ko
nadiyon aur pahaDon ko
suraj
chand
sitaron ko
galiyon ko bazaron ko
shayad tum bahal jao
socho jab tum aae the
is tarah ro rahe the
jaise bachche ke hath se khilauna chhin gaya ho
phir tum ne jo kuchh liya yahin se liya
jo kuchh bhi diya yahin pe diya
phir kyun udas rahte ho
bas pal-do-pal ki baat hai
tum be-sabab pareshan hote ho
Nazm
Pal-do-pal
Afroz Alam