اردو हिंदी
Paidaish | Shaahi Shayari
paidaish

Nazm

Paidaish

Nida Fazli

;

band kamra
chhaTpaTata sa andhera

aur
diwaron se Takraata hua

main!!
muntazir hun muddaton se apni paidaish ke din ka

apni man ke peT se
nikla hun jab se

main!!
KHud apne peT ke andar paDa hun