chhe hazar barson se ahl-e-din-o-danish ne
bar bar koshish ki bar bar koshish ki
taki samne wali us KHamosh khai par
koi pul bana sakte
koi pul bana sakte us KHamosh khai par
jis ki ek jaanib ko roz-e-afrinash se
hairat aur dahshat mein dam-ba-KHud hain istada
kuchh shuur ke Tile
har ana ke Tile se la-ana ki ek Dhalwan
ek athah si Dhalwan be-panah si Dhalwan
ek dam khaDi Dhalwan us KHala mein jhukti hai
jis ki tah bhi hai KHali
ek khula dahana sa jis ki tah bhi hai KHali
be-muzahamat wusat be-wajud maujudi
ek rabuda KHuddari ek ghunuda bedari
narm o gung pahnai
narm narm sannaTa gung gung pahnai
narm o gung pahnai man hai un chaTanon ki
sar ba aasman jin ki choTiyan chamakti hain
chashmak-e-sharar ban kar
chashmak-e-sharar ban kar har farogh-e-mustajal
is azim wusat ke KHwab-nak sine mein
nur ka jhamaka sa ho ke rakh banta hai
rakh banti hai patthar
wusaton se jo ThiTka bas wahi to patthar hai
saKHti-o-salabat kya KHud mein band ho jaana
ye girah na khul jae bas isi liye saKHti
narmiyon se Darti hai
narmiyon se Darti hai saKHtiyon ki ye duniya
wusaton se Darti hai tangiyon ki ye duniya
naddiyon se Darti hai pattharon ki ye duniya
dil se aql Darti hai
narmiyon ki zad se hai saKHtiyon mein mahjuri
khaiyon ka KHamyaza choTiyon ki hai duri
sarwaron mein duri hai KHud-saron mein duri hai
pattharon mein duri hai
is athah khai se pattharon ko wahshat hai
be-KHudi ki wusat se har KHudi pe dahshat hai
jab se ye chaTanen hain shor hai chaTanon mein
khaiyon pe pul bandho
khaiyon pe pul bandho khaiyon pe pul bandho
saKHtiyon se saKHti tak narmiyon pe pul bandho
tangiyon se tangi tak wusaton pe pul bandhun
bas ye sai jari hai
Nazm
Pahnai
Ijtiba Rizvi