dewta ke gun gane walon uDta suraj kya hai
uDta suraj ek paheli baDi purani
suna ambar jis ko har din dohraata hai
aprampar andheron mein wo an-jaani
maut ki jaanib jadu ki naw pe chaDha
dur bahut hi dur ko uDta jata hai
uDta suraj kya hai bhagto ek rupahli
shan hai chandi ka shoala hai
uThti aur nikharti kheti pakta phal hai
lal lahu mein lahren leti garmahaT hai
is baste sansar mein chamkila din hai
uDta suraj kya hai ki do dhan hai
soz bhari ya jalta hai ambar pe diya
aasmanon aur zaminon ke raja ka
din aur din ke bich mein aane wale ThanDe
andhiyare mein dil ko Dhaaras dene wala
dhyan jo fawware ki surat nur bikhere
uDta suraj kya hai aankho hai
baDe gyani chitrkar ki jaanta hai jo
apne kaam ke sare nukton ko baaton ko
aur ambar par sanjh sawere khinchta hai wo
apne dil ke bijon ki rang birangi
jalti aur dahakti parton ki taswiren
uDta suraj kya hai aag hai
jo sansar ke sare jine walon ki
rag rag aur reshe reshe mein jalti hai
Nazm
Pahli nazm
Salahuddin Parvez