اردو हिंदी
Pahli kiran | Shaahi Shayari
pahli kiran

Nazm

Pahli kiran

Noon Meem Rashid

;

koi mujh ko daur-e-zaman-o-makan se nikalne ki surat bata do
koi ye sujha do ki hasil hai kya hasti-e-raegan se

ki ghairon ki tahzib ki ustuwari ki KHatir
abas ban raha hai hamara lahu momyai

main us qaum ka fard hun jis ke hisse mein mehnat hi mehnat hai nan-e-shabina nahin hai
aur is par bhi ye qaum dil shad hai shaukat-e-bastan se

aur ab bhi hai ummid-e-farda kisi sahir-e-be-nishan se
meri jaan shab-o-roz ki is mashaqqat se tang aa gaya hun

main is KHisht-kobi se ukta gaya hun
kahan hain wo duniya ki tazin ki aarzuen

jinhon ne tujhe mujh se wabasta-tar kar diya tha
teri chhatiyon ki ju-e-shir kyun zahr ka ek samundar na ban jae

jise pi ke so jae nannhi si jaan
jo ek chhipkili ban ke chimTi hui hai tere sina-e-meharban se

jo waqif nahin tere dard-e-nihan se
ise bhi to zillat ki pabandagi ke liye aala-e-kar banna paDega

bahut hai ki hum apne aaba ki aasuda-koshi ki padash mein
aaj be-dast-o-pa hain

is aainda naslon ki zanjir-e-pa ko to hum toD Dalen
magar ai meri tera raaton ki sathi

ye shahnaiyan sun rahi ho
ye shayad kisi ne masarrat ki pahli kiran dekh pai

nahin is dariche ke bahar to jhanko
KHuda ka janaza liye ja rahe hain farishte

usi sahir-e-be-nishan ka
jo maghrib ka aaqa tha mashriq ka aaqa nahin tha

ye insan ki bartari ke nae daur ke shadyane hain sun lo
yahi hai nae daur ka partaw-e-awwalin bhi

uTho aur hum bhi zamane ki taza wiladat ke is jashn mein
mil ke dhumen machaen

shuaon ke tufan mein be-mahaba nahaen