اردو हिंदी
Pahli kiran ka bojh | Shaahi Shayari
pahli kiran ka bojh

Nazm

Pahli kiran ka bojh

Mughni Tabassum

;

cigarette ka ek lamba kash aur khansi
ghunT ghunT chae

pighalte KHwabon ke mom
gadle kaghaz par duniya ke aamal ka pila zahr

hum kitne achchhe the
jab hamari piTh ke niche bistar tha

aao
chalo aaine se puchhen

abhi kitna safar baqi hai?
us ko to

ek hi jawab hai
apne chehron ko bardasht karo

bahar niklo
to mask lagana mat bhulo