ek bar chal kar dekh len
shayad guzishta mausamon ka koi ek
dhundla nishan mil jae
aur phir se faza shadab ho
ujDa hua ek KHwab ho
taswir mein kuchh gard-baad-e-baqiyat-e-mimbar-o-mehrab ho
ek bar chal kar dekh len
phir band hote shahr ke bazar ko
jhanken zara
ujDi dukanon mein
kulah o jubba o dastar ko
ek shahr-e-taza-kar ko kuchh der bhulen
aur us ko silwaTon mein
DhunDen ek khoi hui taswir ko
taswir mein kuchh baqiyat-e-mimbar-o-mehrab hain
kuchh jalwa-ha-e-ahd-e-alam-tab hain
wo lash jo kuchli gai
wo KHwab jo raunde gae
wo nam jo bhule gae
in silwaTon mein dafn
kitni barkaton ke raaz hain
ek bar chal kar dekh len
pahle to shahr aisa na tha
Nazm
Pahle to shahr aisa na tha
Ain Tabish