janm ka pahla dew-malai mausam guzar gaya
aur tum ruk gae
aaKHiri qadam ke aage diwar ki inTen chunte chunte raat ho gai
to main ne socha
jaane zanjiron ka tul kaun se mausam se kaun se mausam tak hai
magar aage sirf la-mahdudiat hai ya phir diwar
jis ki inTon ka gara waqt ki miTTi se bana hai
tanhai ka pani aaKHiri qadam ke aage diwar ko mazbut kar deta hai
to achanak raat apna sar uThati hai
tumhein nahin malum
sanp Dasne se pahle kitni der phan phailae khaDa raha
aur tum kahan ruke the
aur apne aage diwar ki bulandi ke samne
tumhein kuchh nahin malum
sirf ek baat ke siwa
ki har janm ka sirf ek hi dew-malai mausam hota hai
Nazm
Pahle mausam ke baad
Tanveer Anjum