اردو हिंदी
Pahla qadam | Shaahi Shayari
pahla qadam

Nazm

Pahla qadam

Jeem Jazil

;

koi Dar tha na fikr thi koi
man ki ungli thi mere hathon mein

zindagi ke safar ka pahla qadam
aadhe panw se jab uThaya tha

kitna KHush tha main khilkhilaya tha
aur ek umr ho gai ab to

man ki ungli nahin hai hathon mein
han magar rasta giraft mein hai

pure panw se chal raha hun main
phir bhi girne se Dar raha hun main