ai hind ke bashindo aao ujDa gulzar saja Dalen
ab daur-e-ghulami KHatm hua ek taza jahan ki bina Dalen
ab hind ki asli id hui jo aazadi ki did hui
paDh paDh ke namaz-e-azadi ab ruThe huon ko mana Dalen
kashti bhi nai dariya bhi naya sahil bhi naya mallah bhi nae
ab kar ke bharosa himmat par tufan mein rah bana Dalen
hain ranj-o-KHusumat ek roDa rah-e-azadi mein ab bhi
hum ranj purane dur karen bichhDon ko gale se laga Dalen
jo mulk tha sone ki chiDiya bandhan ne use pamal kiya
ghurbat ko yahan se dur karen phir dudh ki nahren bana Dalen
phir bos se yodhdha paida hon jo hind ki qismat jag uThe
ek bar zamane par sikka phir madar-e-hind biTha Dalen
is buDhe himala parbat se phir nur ka chashma-e-ahl uThe
is mel-o-mohabbat ke jal se har bashi ko nahla Dalen
ye hind ki aazadi goya kul mashriq ki aazadi hai
phir mashriq mashriq ban jae jo zulm ke daur miTa Dalen
'anwar' ki dua hai ai maula phir hind ki qismat jag uThe
bichhDe aapas mein mil jaen hum ruThe hue ko mana Dalen
Nazm
Pahla jashn-e-azadi
kanval Dibaivi