ba-sad ghurur ba-sad faKHr-o-naz-e-azadi
machal ke khul gai zulf-e-daraaz-e-azadi
mah-o-nujum hain naghma-taraaz-e-azadi
watan ne chheDa hai is tarah saz-e-azadi
zamana raqs mein hai zindagi ghazal-KHwan hai
zamana raqs mein hai zindagi ghazal-KHwan hai
har ek jabin pe hai ek mauj-e-nur-e-azadi
har ek aankh mein kaif-o-surur-e-azadi
ghulami KHak-basar hai huzur-e-azadi
har ek qasr hai ek baam-e-tur-e-azadi
har ek baam pe ek parcham-e-zar-afshan hai
har ek samt nigaran-e-yasmin-paikar
nikal paDe hain dar-o-baam se mah-o-aKHtar
wo sail-e-nur hai KHira hai aadmi ki nazar
ba-sad ghurur-o-ada KHanda-zan hai gardun par
zamin-e-hind ki jola-nigah ghazalan hai
sada do anjum-e-aflak raqs farmaen
butan-e-kafir-o-saffak raqs farmaen
sharik halqa-e-idrak raqs farmaen
tarab ka waqt hai bebak raqs farmaen
ki ye bahaar-e-payami-e-sad-bahaaran hai
ye inqalab ka muzhda hai inqalab nahin
ye aaftab ka partaw hai aaftab nahin
wo jis ki tab-o-tawanai ka jawab nahin
abhi wo sai-e-junun-KHez kaamyab nahin
ye intiha nahin aaghaz-e-kar-e-mardan hai
Nazm
Pahla jashn-e-azadi
Asrar-ul-Haq Majaz