wo lamha
aainon ka dariya
jis mein tum ne apna aap pahchana
jis mein tum ne jaana
ki apne wajud mein qaid tum mahz sarab ho
ki sheron mein mahfuz ho
to tum aawaz nahin bazgasht nahin
mahfil aawazon iradon ka KHwab ho
is danish-gah ke baadalon mein kaunde bhare hain
mere hathon mein hath do
mere hathon mein hath do
siyah shoale tum se kahte hain chalo
hum nae bazu
nai buland aawazon ke sath chalen
wapas
us watan ko jis ka farsh har roz
nae lahu se dhoya gaya hai
shishon ki zabanen tum se kahti hain
ab tum ek nai aag ke
aansu ki tarah
zartar ho
Nazm
Pahchan
Ejaaz Ahamd Ejaaz