mere des ki un zaminon ke beTe jahan sirf be-barg patthar hain sadiyon se tanha
jahan sirf be-mehr mausam hain aur ek dardon ka sailab hai umr-paima
pahaDon ke beTe
chameli ki nikhri hui pankhuDiyan sang-e-KHara ke reze
sajal dudhiya narm jism aur kaDe khurdure sanwle dil
shuaon hawaon ke zaKHmi
chaTanon se gir kar KHud apne hi qadmon ki miTTi mein apna watan DhunDte hain
watan Dher ek an-manjhe bartanon ka
jise zindagi ke pasinon mein Dubi hui mehnaten dar-ba-dar DhunDhti hain
watan wo musafir andhera
jo unche pahaDon se girti hui naddiyon ke kinaron pe shadab shahron mein ruk kar
kisi aahani chhat se uThta dhuan ban gaya hai
nadi bhi zar-afshan dhuan bhi zar-afshan
magar paniyon aur pasinon ke anmol dhaare mein jis dard ki mauj hai umr-paima
zamiron ke qatil agar us ko parkhen
to sinon mein kali chaTanen pighal jaen!
Nazm
PahaDon ke beTe
Majeed Amjad