اردو हिंदी
PahaDi ki aaKHiri sham | Shaahi Shayari
pahaDi ki aaKHiri sham

Nazm

PahaDi ki aaKHiri sham

Qamar Jameel

;

asia ki is viran pahaDi par
maut ek KHana-ba-dosh laDki ki tarah

ghum rahi hai
meri raushni

aur anar ke daraKHton mein
qazzaqon ke chaqu chamakte hain

aur sar par wo chand hai jo is
pahaDi ka pahla paighambar hai

is pahaDi par fatima rahti hai
us ke kapDon mein wo kabutar hain

jo kabhi uD nahin sakte
KHuda ne hamein ek ghaar mein

band kar diya hai aur hamare saron par
siyah raat jaisa patthar rakh diya hai