andalibon ko mili aah-o-buka ki talim
aur parwanon ko di soz-e-wafa ki talim
jab har ek chiz ko qudrat ne ata ki talim
aai hisse mein tere zauq-e-fana ki talim
narm o nazuk tujhe aaza diye jalne ke liye
dil diya aag ke sholon pe pighalne ke liye
rang taswir ke parde mein jo chamka tera
KHud-ba-KHud luT gaya jalwa-e-rana tera
Dhaal kar kal-bud-nur mein putla tera
yad-e-qudrat ne banaya jo sarapa tera
bhar diya kuT ke soz-e-gham-e-shauhar dil mein
rakh diya chir ke ek shola-e-muztar dil mein
tu wo thi shama ki parwana banaya tujh ko
tu wo laila thi ki diwana banaya tujh ko
raunaq-e-KHawlat-e-shahana banaya tujh ko
nazish-e-himat-e-mardana banaya tujh ko
naz aaya tere hisse mein ada bhi aai
jaan-faroshi bhi, mohabbat bhi, wafa bhi, aai
aai duniya mein jo tu husn mein yakta ban kar
chaman-e-dahr mein phuli gul-e-rana ban kar
rahi man bap ki aankhon ka jo tara ban kar
dil-e-shauhar mein rahi KHal-e-suwaida ban kar
Husn-e-KHidmat se shagufta dil-e-shauhar rakkha
ki qadam jada-e-taat se na bahar rakkha
teri fitrat mein murawwat bhi thi gham-KHwari bhi
teri surat mein ada bhi tarah-dari bhi
jalwa-e-husn mein shamil thi niko-kari bhi
dard aaya tere hisse mein, to KHuddari bhi
aag par bhi na tujhe aah machalte dekha
tapish-e-husn ko pahlu na badalte dekha
tu wo ismat ki thi o aaina-sima taswir
husn-e-sirat se thi teri mutajala taswir
lakh taswiron se thi ek teri zeba taswir
tujh ko qudrat ne banaya tha sarapa taswir
nur hi nur tere jalwa-e-mastur mein tha
anjum-e-naz ka jhurmuT ruKH-e-pur-nur mein tha
lab mein ejaz haya chashm-e-fusun-saz mein thi
ki qayamat ki ada tere har andaz mein thi
shakl phirti jo teri dida-e-ghammaz mein thi
barq-e-betab teri jalwa-gah-e-naz mein thi
ye wo bijli thi qayamat ki taDap thi jis mein
shola-e-nar-e-uqubat ki taDap thi jis mein
ye wo bijli thi jo tegh-e-sharar-afshan ho kar
kaund uThi qila-e-chittauD mein jaulan ho kar
ye wo bijli thi jo soz-e-gham-e-hirman ho kar
KHak si loT gai teri pashiman ho kar
ye wo bijli thi tujhe jis ke asar ne phunka
rafta rafta tapish-e-soz-e-jigar ne phunka
aah o ishwa o andaz o ada ki dewi
aah o hind ke namus-e-wafa ki dewi
aah o partaw-e-anwar-e-safa ki dewi
o ziyarat-kada-e-sharm-o-haya ki dewi
teri taqdis ka qael hai zamana ab tak
teri iffat ka zaban par hai fasana ab tak
aafrin hai teri jaan-bazi o himmat ke liye
aafrin hai teri iffat teri ismat ke liye
kya miTaega zamana teri shohrat ke liye
ki chali aati hai ek KHalq ziyarat ke liye
naqsh ab tak teri azmat ka hai baiTha dil mein
tu wo dewi hai, tera lagta hai mela dil mein
Nazm
Padmani
Suroor Jahanabadi