KHuda-e-har-do-jahan ne jab aadmi ko pahle-pahal saza di
bahisht se jab use nikala
to us ko baKHsha gaya ye sathi
ye aisa sathi hai jo hamesha hi aadmi ke qarin raha hai
tamam adwar chhan Dalo
riwayaton mein hikayaton mein
azal se tariKH kah rahi hai
ki aadmi ki jabin hamesha nadamaton se araq rahi hai
wo waqt jab se ki aadmi ne
KHuda ki jannat mein shajr-e-mamnua chakh liya
aur
sarkashi ki
tabhi se is phal ka ye kasila zaiqa
aadmi ke kaam-o-dahan mein hir-phir ke aa raha hai
magar nadamat ke talKH se zaiqe se pahle gunah ki be-panah lazzat
Nazm
Pachhtawa
Fahmida Riaz