kahani ke sare parinde
bahut dur shayad ufuq mein
kahin munjamid ho gae hain
shajar zard patton ki taswir ban kar
alamat ki tahrir ban kar
bikharne laga hai
kisi jhil ke aaine mein wo mah-wash
badan ke kisi zawiye se nikalne ki KHwahish mein
palken uThae hue dekhti rah gai hai
parindon ki manind main bhi yahan tha
magar ab nahin hun
ki hone ki KHwahish ne shayad mujhe bhi
KHala mein muallaq sitaron ki manind gum kar diya hai
na ab mausamon ke sitam hain
na ab raat ki sard aamezishon mein ThiThurne ki rahat hi aawaz dete hain mujh ko
na patthar ki manind hathon mein suraj
rag-o-pai mein mere lahu ki hararat banega
zamana koi shobada-gar
mujhe dur hi dur le ja raha hai
ki main nim-wa ghaar ki siDhiyon mein utarne laga hun
charagh-e-tilismat milne se pahle
zamin ne mujhe apni aaghosh mein le liya hai
dua bad-dua ban gai hai
ki har lafz ke daere se lahu ris raha hai
kisi sanehe ne zamin se falak ki taraf jate jate
mujhe bhi sitaron mein gum kar diya hai
ki main apne sae ki dahliz par
lazzat-e-ashnai mein khoya hua ajnabi hun
Nazm
Patal zamin aasman
Ahmad Zafar