pas ke shahr se curfew ki be-awaz chap
dhire dhire
mere shahr ki galiyon aur chaurahon tak aa pahunchi hai
raat ki tarah KHauf phaila hai
darwaze khiDkiyan chup
kutte bhi chup
hirasan dur dur tak saDkon ko takte hain
phir rote hain
pas ke shahr mein nare ubharte hain
ek hi sath jaise Dher sare bakron ki gardanon pe
dhaar-dar chaqu tairte hain
peDon pe chandni september ki sahmi hai
tanha parinde ke hira jaise dil mein bille ki lahu lahu aankh Dub kar ubharti
sannaTa zamin ka aakash se ja mila hai
ghoDon ki aag ugati Top pas ke shahr mein aur
apne shahr mein aa gaya betal petrol-pumpon ke pas khaDa hai
raat ki taraf KHauf phaila hai sankal hilata hai
chandni september ki peDon pe roti hai
bille ki lahu lahu aankh aur parinda
bechaara
Nazm
Pas ke shahr mein fasad
Akhtar Yusuf