bura na mano
namazen ab bhi yahin paDi hain
pe sajda-gahen uTha ke jaane kidhar chale the
wo subh tum ko bhi yaad hogi
alag the ghar aur alaihida chulhe
tumhaare parcham ka rang alag tha
watan tumhaara naya naya tha
sabhi to banTa tha aadha aadha
magar paDi hain wahan pe ab tak
hamari radha ki ek pael
hamare kirishna ki ek bansi
pa 'hir' kaise uTha ke de den
kahan se laen tumhaara ranjha
ki hum se pagal
hisab rakhte nahin dinon ka
hamein to ye bhi pata nahin hai
ki aaryai se babari hum bane to kaise
hamein to shankh aur azan hai yaksan
hamari tariKH ke kitne safhe
churae tum ne?
kahan kahan se nishan hamare
miTae tum ne?
hamari holi tumhaare bin hai udas kitni
tumhein pata kya
hamari eidon ko tum se milne ki pyas kitni
kahan chale the uTha ke mimbar
kahan sajai dukan tum ne
kahan pe beche hain mal kitne
kaho munafa kamaya kitna
hamare jaise
tumhaare jaise
KHuda ke bande
jo apne hisse ka pani
khoden kuan to paen
jo apne tan ko dhuan banaen to roTi khaen
hamein lakiron ke khel se kya
hamein tijarat se wasta kab
jinhen tha sud o ziyan se matlab
wo karobar-e-jahan se ruKHsat
pa aag ab bhi bhaDak rahi hai
chalo buzurgon ka pap dhoen
hamare mandir sambhaalo tum sab
tumhaari masjid ke hum nigahban
Nazm
Pap
Shahnaz Nabi

